A beautiful poem, contributed by Muhammad Zeeshan:
Wo jo dar badar, basar hue,
Wo jo lut gaey, be-gher huay,
Wo na mangein tum se, tumhara gher,
Na tumhara sukh, na tumhara der,
Wo to chahtay hein, guzar basar,
Unhe wadion mein, umer bher,
Ye karra waqt, ye talkhiyan,
Ye gardishein, ye bijliyan,
Hai humaray Rabb ka yeh imtehan,
chalo kaflon ko kero rawan,
Aao mil kay unka sath do,
Jo madad karay wo hath do,
Kay ye apni dharti kay log hein,
Inhein zindagi ke soghat do.